Reminds us of those College days.... years of non-stop masti... day after day...

ultimate hai ...


1. On being Late
"Kab shuru hui class?"
"Attendance ho gayi kya??"
"Kal raat der tak gappe marte rahe yaar"
"Mein kya karu, subah bathroom me koi ghusa hua tha"
"Aab nind nahi khuli to mein kya karu......... bolna ....... kal kya padaya tha isne"
"Kal se pakka class time pe karunga"
"Ek page de na.......... abey pen bhi to de, nahi to kisse likhunga......."
"Kal proxy mari thi kya"
" koi subah kaise aa sakta hai........"
"wo bhi iss class ke liye "



2. During the lecture
"Yesss!!!! Sirrr.......The answer is
.........huuuummmmm.......aaaaaaaa............"
"No sir.....I know the answer ......sir...."
"Saala apne aapko Newton samajta hai"
"Abe lecture ko chodd..... Anjali kya lag rahi hai aaj........" HE HE HE HE !! ;))))

"Uski tshirt pe kya likha hai dekh"
"Uske bagal mein nahi baith sakta tha kya.......gadha......."
"mera assignment tere paas hai??"

"Tereko bhookh nahi lag rahi kya??"
"Kya bore kar raha hai. Bola tha canteen chalte hain .."
"Heads, we go canteen , Tails, we go now!!!"
"Boss class khatam hote hi kadak chai chahiye......"

3. Lab
"Expt. 2 likha??"
"last time tu aaya the kya?""

"Karna kya hai??"
"Yeh bhai.....merko pata hota to tere pass kyon aata........"
"Areee tu to bura maan gaya.......chal dikha na.....bhau kyo kata hai...."


4. sessionals Test
"sessionals test???? ......Aree yaar...... "
"Kya...... abe unit test mein itna sara topic hai to final mein kya hoga...."
"Boss..... hogaya......aur nahi ho sakta........jaan nahi de sakta apni......."
"Oh !!! Itna syllabus cover ho gaya?????"
"Aaj kounsa test hai?"
"Oye Sushil kaha hai......uska roll number mere baad hai.......wo nahi aaya to mein pakka fail...."
After test......
"yaar pada tha....recall nahi kar paya.......chhod na ....... Canteen chalega..." SAHI !!


5. For attendance (less attendance isliye attendance badane ke liye bahane)
"I was in the class, attendence bolna bhool gaya"
"Oye usko thoda khush kar list se tera naam hata dega........"
"Bola tha proxy regularly maar....... Saale tera class karne ka kya faida hua....."
"yaar lag gayi apni to.."

6. Late submission of assignments
"Maine us ko bola thaa ki copy karke mera assgnment bhi saath mein submit kar dena"
"Last date extend hua thaa"
"I didn't know the last date"
"Ab mein kya karu usne mereko bole bina hi submit kar diya......."
"They should allow XEROX........sala system hi kharab hai " :D

7 . After exam
"Yeh bhi syllabus mein thaa kya? Shitt…"
"kya bol raha hai yaar..aise karna tha kya"
"Is subject ki reference book kounsi hai"
"1st mein 3 marks.....2nd mein 0.......3rd mein 2....... Gaya..........fail pakka......."
"Yaar notice lagte hi hata dena........wo kya soochegi mera marks dekh kar......"


8 . VIVA (b4 exam)
"Submission ab tak hua nahi hai , VIVA kaise doonga"
"Aeee......Akash.....terese kya kya poocha....mood kaisa hai.."
"External ke ghar mein bacche nahi hai kya......."
"Dekh Boss!! external bhi aadmi hai. Usko pata hai students ki ab tak preparation nahi hui hai" :D



9 . VIVA (General)
"Dekh , tu jo bhi padhega , woh (external) tereko woh nahi poochhnewaala, then watz the point" :D
"Roll no. 46 ki watt laga di hai" (I was Roll no. 46 L )
"External is asking ctlr key ka ascii code kya hai ?"
"Ye kounse unit mein aata hai ?"



10 . Submission
"Ye bhi chhapna hai kya?"
"kaat kaat ke likh le…kaon padhta hai"

"Iska bhi print-out lena hai kya?"
"Jai ho computer baba ki......jai ho Ctrl C - Ctrl V ki......." :D
"Tujhe Sir ka sign aata hai kya?"



11 . convo:
"Ye tune kya likha hai????"
(The best one)
"Jo word samajh mein aa raha hai woh likh, jo nahi samajh mein aa raha hai uska drawing nikal" :D
"Phir bhi, kuch to idea hoga??"
" Maine uska likha hai, mera assignment check ho gaya, tu bhi wohi kar."
"Koi hint........"
"Are baba ghaseet de........na tu samjega na wo........"



12. Exam
"Jo (mujhe) aata hai, woh (paper mein)aata nahi hai; jo nahi aata hai woh NAHI aata hai" :D ..VERY VERY TRUE !!
"ye question 2 saal se nahi poochha hai yaar....to ab kya poochenge"
"ye last time hi poochha thaa......is baar nahi aana chahiye"
"tere paas is ke notes hai??"

"Neend aa rahi mujhe to…thodi der so jata hoo..utha diyo pakka"


"woh chapter... mark weightage 6 marks... (facial ex-pressions speaks the story)"
"nahi samjha to rat le" – PERFECT ONE
"External ka aane ka pura scene hai....... "
"Iss paper mein roll number ke kya order hai........"
"Pichle paper mein kuch to aata tha.......issmein mast lagegi apni......"
"Ek aur din ka gap de dete to kya 3rd World War ho jata tha kya........" I AGREE !! !!



............ bas ek bar wapas lautne ka man karta hai ........
............ Aaj har wo baat yaad aati hai ........
............ kuch buri batein jo ab acchi lagti hain ........
............ kuch batein jo kal ki hi batein lagti hain ........
............ abki baar class attend karne ka man karta hai ........
............ Dopahar ki class mein aakhen band karne ka man karta hai ...........
............ hostel ke chat ki wo raat yaad aati hai ........
............ exam ke time pe wo hasi mazak bahut pyari lagti hai .........

........ exam ke rat k time pe wo pandit ki chaay yaad aati hai .........
............ tab ki bekar lagne wali photo's chehre pe hasi laati hai ...........
............ Apni galtiyon pe tumse daat khana yaad aata hai. .......
............ Par tumhari galti dekhne ka man karta hai ........
............Ek aisi subah uthne ka man karta hai........
............ bas ek bar wapas lautne ka man karta hai........
............ bas ek bar aur ........
............ wapas lautne ka man karta hai........