Is Baar Mera Dil Toota Hai

Na zikr karo uska na baat kisi gair ki ho
Khamoshiya hi rehne do is baar mera dil toota hai

Hai kise chah roshni ki ye shama kis ne jalayi hai
Taarikhiyo ko chahne do is baar mera toota hai

Ek umeed dil mein basayi thi ab baki nahi hai kuch bhi
Tanha ziist guzar ne do is baar mera dil toota hai

Bohot uthaye naaz unke aur sahi saari ghutkiya bhi
Humse na ab koi aas rakho is baar mera dil toota hai

Apno ne humein thukraya hai gair bhala apnaye kyu
Mat pucho mujhse haal mera is baar mera dil toota hai

Kyu mangu kisi se main panaah kyu jau kisi ki chokhat pe
Aey rab tujhi se hai gila ke is baar mera dil toota hai

Asaar mere samje na mere gam ki hadh jaani
Nahi talab baaki koi mehfil ki is baar mera dil toota hai

Na udaao meri yuh hassi na dekho aisi nazro se
Main sach kehti hu tumse is baar mera dil toota hai

Piya nahi jaata hai mujhe se ayyaam ki is talkhi ko
Lahed mein mujhe ab so jaane do is baar mera dil toota hai

Dil ke har ek tukde se yahi ek sadaa bas aati hai
Rakh do kalam ko yeh kehke is baar mera dil toota hai